Woh jo gayeen humey chod kar,
Yeh zindagi ab zindagi na rahi,
Mushkil yeh gardish-e-shaam-o-sehar ab,
Lagey berooh aur majrooh yeh zaat bhi. (read zaat as 'self')
Mehsoos har dum hoti hai kami unki,
Dhoondhten hain unhe hum jagah jagah,
Har gali mey, har khubsoorat vaadiy mey,
Kabhi apne dil mey, kabhi apne shikastah khwaabon mey.
Raah takten hain har waqt unki,
Bhooley se na woh aa jaaye kahin,
Aaj bhi dil bechain hai is ummeed mey,
Woh mil jaayen usi mod par phir kahin.
Jab jal chuki hogi woh shamaa kabhi,
Jab usmey na bachaa hoga aatish bhi,
Aayega tab bhi yeh parwaana dhoondhta,
Liye bas khwaaish khaak ban jaaney ki.
******************************************
Kaun kambakht kehta hai ki...
Intezaar mein jo mazaa hai..woh wisaal-e-yaar mey nahi..
Jab intezaar zindagi bhar ka ho..to haqeeqat ka pata lagega...