Hi friends...I have tried to bring out my frustration on how we humans have misused and taken wrong advantage of God and his loving gifts...
********************************************
Jo rehney ko zameen milaa,
To sar-hadein banaa daala.
Jo izzat-o-imaan milaa,
To unka keemat laga daala.
Jo jazba-e-pyaar ka ehasaas hua,
To be-dard bankar mazaa liya.
Jo doston ka saath milaa,
To kabhi dagaa dekar silaa diya.
Jo husn-o-jamaal sey widaad hua, (widaad - meet)
To kuch ahal-e-havas ne uska bhi tijaarat kiya.
(ahal-e-havas -- greedy people, tijaarat - trade)
Jo sohabat-e-ilaahii naseeb hua, (sohabat-e-ilaahii - acquaintance with god)
To uske naam se mazhab banaa daala.
Isi tarha bad-hoshi mey e naa-shinaas Insaan, (naa-shinaas -- ignorant)
Tumney Khuda ke har nemat ka tauheen kar daala. (nemat - gift)
********