Kyaa karoon aisa dard-e-nasha chaa gaya,
Na chaahkar bhi zubaan pe ek aah aa gaya,
Hoton pe hansi lekar chupaaya jis fasaane ko,
Nazron se umadta sailaab woh bayaan kar gaya.
Jaa, mat baat kar zaalim tu humse,
Tujhe kya pata hai khaamoshi ka sila,
Yeh humse poocho jisne is dil mey,
Dafnaaye hain laakhon hasratein chup chaap.
Kehti thi hum par jaan-o-tan karegi fanaa,
Pyaar mey sarabor ek zindagi ka bhi tha waada,
Is tarha phir rukhsat hui woh zindagi se humaari,
Ke chalakte nazron ka bhi na humse poocha sabab.
Lut ta hai yeh sapnon ka kaafila har din,
Phir roz sajaata hoon ek armaano ka kaarwaan,
Tum na sahi, lekin dastak de hi jaata hai is dar koi,
Lootney ke bahaane, phir woh koi luteraa hi sahi.
- - - TED
Na poocho ab is dard ka sabab mujhse doston,
Aaj bhi khaamoshi ke siva koi jawaab nahin mere paas.