Chehera sangmarmari, us par phisalta paani,
Zulf ghaneri, us mein khila hua tabassum,
Absaar nasheeley, maano chasm-e-mayaguun, (intoxicating eyes)
Kasam us jism badamast ki,
Woh sar se paanv talak thi, bas Qayaamat hi Qayaamat.
Honth dabaey huey the daanton tale,
Ungliyaan bhi dupatte mein the uljhey huey,
Tehalti to jaise baad-e-sabaa mein ithlaati daali,
Kasam un shokh adaaon ki,
Woh sar se paanv talak thi, bas Sharaarat hi Sharaarat
Phir na jaane kab yeh dil mera, kaafir ho gayaa,
Mere bas se nikal kar, uske paas bas gayaa,
Dil ko kosoon ya khush-kismati manaoon, yeh na jaan paaya
Kasam us dil fareb samaa ki,
Woh sar se paanv talak thi, bas Mohabbat hi Mohabbat.
….TED
Is tarha mere yaaro,
Humein bhi pyaar ho gaya,
Aadmi the hum bhi kaam ke,
Pal bhar mey bekaar ho gaya…