Kal raat chaandni thi gum,
Maine sab se poocha, hua kya.
Ungliyaan uthi mere yaar par,
Shikaayat hua husn-e-dildaar ka.
Karta kya chaand bhi tera muqaabla,
Chupna hi usne bajaa samjha,
Na samjha kisi ne teri maasumiyat magar,
Tujhe hi sabne dushman be-wajah samjha.
Chaand kya cheez hai, suraj bhi dhundla pad jaaye,
Bas ek baar agar tum hans kar pardaa uthaa dey.
Kaise samjha-oon is ahal-e-mehafil ko lekin,
Ab tum hi mujhe apna koi misaal bataa dey.
...TED